yūñhī be-bāl-o-par khaḌe hue haiñ
ham qafas toḌ kar khaḌe hue haiñ
dasht guzrā hai mere kamre se
aur dīvār-o-dar khaḌe hue haiñ
ḳhud hī jaane lage the aur ḳhud hī
rāsta rok kar khaḌe hue haiñ
aur kitnī ghumāoge duniyā
ham to sar thaam kar khaḌe hue haiñ
barguzīda buzurg niim ke peḌ
thak ga.e haiñ magar khaḌe hue haiñ
muddatoñ se hazār-hā aalam
ek ummīd par khaḌe hue haiñ