kushād zehn-o-dil-o-gosh kī zarūrat hai
ye zindagī hai yahāñ hosh kī zarūrat hai
sunā.ī degī yaqīnan zamīr kī āvāz
muḳhātibīn-e-subuk-gosh kī zarūrat hai
ab ehtiyāj nahīñ sarv-qāmatoñ kī mujhe
mujhe to ab kisī ham-dosh kī zarūrat hai
ḳharosh-e-ḳhum kā bharam kholnā hai kyā mushkil
bas ek rind-e-balā-nosh kī zarūrat hai
nigār-e-sub.h ke aañsū sameTne ke liye
guloñ ko vus.at-e-āġhosh kī zarūrat hai
kahīñ faqat mutakallim sukūt kī hājat
kahīñ takallum-e-ḳhāmosh kī zarūrat hai