Jafar Baluch

KHizan ke dosh pe hai fasl-e-gul ka raKHt abhi

Jafar Baluch

1947
ḳhizāñ ke dosh pe hai fasl-e-gul kā raḳht abhī
ki barg-o-bār se ḳhālī hai har daraḳht abhī
abhī ġhamoñ se ibārat hai sar-navisht-e-bashar
ki āsmān pare hai zamīn saḳht abhī
samajh shuā-e-burīda na sirf jugnū ko
kiran kiran kā jigar hogā laḳht laḳht abhī
matā-e-jāñ bhī use pesh kar chukā huuñ maiñ
mire raqīb kā lahja hai kyuuñ karaḳht abhī
tamām raat rahā mai-kada-nashīñ 'ja.afar'
gayā hai uTh ke yahāñ se vo nek-baḳht abhī
Top Urdushayar.com