har ek haal meñ chalne se jis ko kaam rahā
vo shaḳhs qā.id-e-yārān-e-tez-gām rahā
safar alāmat-e-hastī safar dalīl-e-hayāt
ḳhushā vo log safar jin kā nā-tamām rahā
hayāt-e-gul kā hayāt-e-chaman hai paimāna
amar hai phuul chaman ko agar davām rahā
bayāz-e-mehr nigal kar bhī raat raat rahī
siyāhkār kā chehra siyāh-fām rahā
hayāt-o-maut ke sañgam pe jī rahe haiñ ham
hamārā jashn-e-tarab bhī ġham-iltizām rahā
zamāna ḳhud ko muḳhātab samajh na le merā
maiñ apne aap se dar-asl ham-kalām rahā
ajiib 'ja.afar'-e-farḳhanda-jāñ kā mashrab hai
ki riñd ho ke bhī ḳhush-baḳht nek-nām rahā