Jafar Baluch

agarche aah-e-sar-e-sham bhi zaruri hai

Jafar Baluch

1947
agarche āh-e-sar-e-shām bhī zarūrī hai
dil-e-sitam-zada ārām bhī zarūrī hai
sitam-shi.ār kī tafrīh-e-sāme.a ke liye
ḳharosh-e-murġh-e-tah-e-dām bhī zarūrī hai
ziyā-e-kirmak-e-shab-tāb hī nahīñ kaafī
sitāra-e-sahar-anjām bhī zarūrī hai
girāñ-bahā hai mabāhis kī shabnam-āgīnī
agarche burrish-e-samsām bhī zarūrī hai
baḌī hai baat to muñh bhī baḌā muhayyā kar
phir is ke saath baḌā naam bhī zarūrī hai
sukūt gul kā agar nā-guzīr hai 'ja.afar'
to andalīb kā kohrām bhī zarūrī hai
Top Urdushayar.com