Jafar Baluch

kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

Jafar Baluch

1947
kitnī sazā milī hai mujhe arz-e-hāl par
pahre lage hue haiñ mirī bol-chāl par
kahte haiñ log joshish-e-fasl-e-bahār hai
phūloñ kā jab mizāj na ho e'tidāl par
tū apnī siskiyoñ ko dabā apne ashk poñchh
ai dost chhoḌ de tū mujhe mere haal par
phir aaj ismatoñ kī jabīñ hai araq araq
tohmat lagī hai phir kisī mariyam-ḳhisāl par
mahsūs bārhā ye huā hai ki zindagī
ik barf kī Dalī hai kaf-e-barshgāl par
Top Urdushayar.com