Jafar Baluch

aaj kisi ki yaad mein hum ji bhar kar roe dhoya ghar

Jafar Baluch

1947
aaj kisī kī yaad meñ ham jī bhar kar ro.e dhoyā ghar
aaj hamārā ghar lagtā hai kaisā ujlā ujlā ghar
apne aa.eñ sar āñkhoñ par ġhair kī ye baiThak na bane
ghar aaseb kā ban jā.egā varna hañstā-bastā ghar
ghar ko jab ham jhāḌeñ-pochheñ rahte haiñ mohtāt bahut
gard-ālūd nahīñ hone dete ham ham-sā.e kā ghar
tum ne kaḌiyāñ jhelīñ aur ġhairoñ ke ghar ābād kiye
raah tumhārī taktā hai ābā.ī suunā suunā ghar
jo ārām hai apne ghar meñ aur kahāñ mil saktā hai
TūTā-phūTā bhī ho to bhī apnā ghar hai apnā ghar
ik anjāne Dar ne niiñd uchak lī sab kī āñkhoñ se
kitnī hī rātoñ se musalsal be-ārām hai ghar kā ghar
merī ruuh birogan rah rah kar chillātī rahtī hai
merā ghar merā pyārā ghar merā pyārā pyārā ghar
āvāragardī ke sabab vo din-bhar to mat.ūn rahā
jab sūraj maġhrib meñ Duubā 'ja.afar' bhī jā pahuñchā ghar
Top Urdushayar.com