Jafar Baluch

tariq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistan na rahe

Jafar Baluch

1947
tarīq-e-kohna pe ab nazm-e-gulistāñ na rahe
mirī bahār ko andesha-e-ḳhizāñ na rahe
ye aarzū hai badal jaa.e rasm-e-shahr-e-vafā
udaas husn na ho ishq sar-garāñ na rahe
payām-e-vasl se dil baaġh baaġh ho jaa.eñ
laboñ pe shikva-e-be-mehrī-e-butāñ na rahe
tulū-e-mehr baḌe tuzk-o-ehtishām se ho
ufuq siyāhī-e-shab se dhuāñ dhuāñ na rahe
samā.atoñ pe musalsal ho naġhmagī kā nuzūl
nazar meñ zisht-manāzir kā kārvāñ na rahe
masarratoñ ke pharere jahāñ meñ lahrā.eñ
ġham-o-alam ke liye gosha-e-amāñ na rahe
ba-rū-e-adl sabhī apnā apnā hissa leñ
aur ehtimāl-e-ġhalat baḳhshī-e-muġhāñ na rahe
Top Urdushayar.com