Jafar Baluch

jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai

Jafar Baluch

1947
jān-e-fikr-o-fan ab bhī ishq kī kahānī hai
lafz haiñ na.e lekin dāstāñ purānī hai
zindagī ke afsāne ek se sahī lekin
jo mirī kahānī hai vo mirī kahānī hai
dekhtā hai rah rah kar muñh nigāh vāloñ kā
misra-e-ġharīb apnā naqshā-e-be-zabānī hai
iltifāt farmā.eñ yā taġhāful apnā.eñ
mudda.ā hasīnoñ kā sirf jāñ-sitānī hai
pur-ḳhatā sahī 'ja.afar' be-vafā sahī 'ja.afar'
ḳhair tum sahī haq par baat kyā baḌhānī hai
Top Urdushayar.com