shāmiyānoñ kī vazāhat to nahīñ kī ga.ī hai
aaj ḳhairāt hai dāvat to nahīñ kī ga.ī hai
dekhtī hai hameñ duniyā use rokā jaa.e
saath rahte haiñ mohabbat to nahīñ kī ga.ī hai
ham ne kaasa hī baḌhāyā hai duā dete hue
dar-ba-dar jā ke shikāyat to nahīñ kī ga.ī hai
rāsta hai ise milne kī jagah kahte haiñ
aap se milne kī zahmat to nahīñ kī ga.ī hai
aaj phir ā.īna dekhā hai ka.ī saal ke baad
kahīñ is baar bhī ujlat to nahīñ kī ga.ī hai
pahlī dhaḌkan hī miyāñ vazan meñ thī shukr karo
shā.irī aaj ināyat to nahīñ kī ga.ī hai