kisī ne kaise ḳhazāne meñ rakh liyā hai mujhe
uThā ke agle zamāne meñ rakh liyā hai mujhe
vo mujh se apne tahaffuz kī bhiik le ke gayā
aur ab usī ne nishāne meñ rakh liyā hai mujhe
maiñ khel haar chukā huuñ tirī sharākat meñ
ki tū ne maat ke ḳhāne meñ rakh liyā hai mujhe
mire vajūd kī shāyad yahī haqīqat hai
ki us ne apne fasāne meñ rakh liyā hai mujhe
shajar se bichhḌā huā barg-e-ḳhushk huuñ 'faisal'
havā ne apne gharāne meñ rakh liyā hai mujhe