Faisal Ajmi

gir jae jo diwar to matam nahin karte

Faisal Ajmi

1951
gir jaa.e jo dīvār to mātam nahīñ karte
karte haiñ bahut log magar ham nahīñ karte
hai apnī tabī.at meñ jo ḳhāmī to yahī hai
ham ishq to karte haiñ magar kam nahīñ karte
nafrat se to behtar hai ki raste hī judā hoñ
bekār guzargāhoñ ko bāham nahīñ karte
har saañs meñ dozaḳh kī tapish sī hai magar ham
sūraj kī tarah aag ko maddham nahīñ karte
kyā ilm ki rote hoñ to mar jaate hoñ 'faisal'
vo log jo āñkhoñ ko kabhī nam nahīñ karte
Top Urdushayar.com