in logoñ meñ rahne se ham beghar achchhe the
kuchh din pahle tak to sab ke tevar achchhe the
dekh rahā hai jis hairat se pāgal kar degā
ā.īne se Dar lagtā hai patthar achchhe the
nādīda āzār badan ko ġhārat kar degā
zaḳhm jo dil meñ jā utre haiñ bāhar achchhe the
raat sitāroñ vaalī thī aur dhuup bharā thā din
jab tak āñkheñ dekh rahī thiiñ manzar achchhe the
āḳhir kyuuñ ehsān kiyā hai zinda rakhne kā
ham jo mar jaate to banda-parvar achchhe the
āñkheñ bhar aa.ī haiñ 'faisal' Duub ga.e haiñ log
in meñ kuchh zālim the lekin aksar achchhe the