Faisal Ajmi

usne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

Faisal Ajmi

1951
us ne dekhā jo mujhe ālam-e-hairānī meñ
gir paḌā haath se ā.īna pareshānī meñ
aa ga.e ho to barābar hī meñ ḳhema kar lo
maiñ to rahtā huuñ isī be-sar-o-sāmānī meñ
is qadar ġhaur se mat dekh bhañvar kī jānib
tū bhī chakrā ke na gir jaa.e kahīñ paanī meñ
kabhī dekhā hī nahīñ is ne pareshāñ mujh ko
maiñ ki rahtā huuñ sadā apnī nigahbānī meñ
vo mirā dost thā dushman to nahīñ thā 'faisal'
maiñ ne har baat batā dī use nādānī meñ
Top Urdushayar.com