Faisal Ajmi

teri aankhen na rahin aaina-KHana mere dost

Faisal Ajmi

1951
terī āñkheñ na rahīñ ā.īna-ḳhāna mire dost
kitnī tezī se badaltā hai zamāna mire dost
jaane kis kaam meñ masrūf rahā barsoñ tak
yaad aayā hī nahīñ tujh ko bhulānā mire dost
pūchhnā mat ki ye kyā haal banā rakkhā hai
ā.īna ban ke mirā dil na dukhānā mire dost
is mulāqāt meñ jo ġhair-zarūrī ho jaa.e
yaad rahtā hai kise haath milānā mire dost
dekhnā mujh ko magar merī pazīrā.ī ko
apnī āñkhoñ meñ sitāre na sajānā mire dost
ab vo titlī hai na vo umr ta.āqub vaalī
maiñ na kahtā thā bahut duur na jaanā mare dost
hijr taqdīr meñ likkhā thā ki majbūrī thī
chhoḌ is baat se kyā milnā milānā mire dost
tū ne ehsān kiyā apnā banā kar mujh ko
varna maiñ kyā thā haqīqat na fasāna mire dost
is kahānī meñ kise kaun kahāñ chhoḌ gayā
yaad aa jaa.e to mujh ko bhī batānā mire dost
chhoḌ aayā huuñ havāoñ kī nigahbānī meñ
vo samundar vo jazīra vo ḳhazāna mire dost
aise rastoñ pe jo aapas meñ kahīñ milte hoñ
kyuuñ na us moḌ se ho jaa.eñ ravāna mire dost
Top Urdushayar.com