Faisal Ajmi

mujhko ye fikr kab hai ki saya kahan gaya

Faisal Ajmi

1951
mujh ko ye fikr kab hai ki saaya kahāñ gayā
sūraj ko ro rahā huuñ ḳhudāyā kahāñ gayā
phir aa.ine meñ ḳhuun dikhā.ī diyā mujhe
āñkhoñ meñ aa gayā to chhupāyā kahāñ gayā
āvāz de rahā thā koī mujh ko ḳhvāb meñ
lekin ḳhabar nahīñ ki bulāyā kahāñ gayā
kitne charāġh ghar meñ jalā.e ga.e na pūchh
ghar aap jal gayā hai jalāyā kahāñ gayā
ye bhī ḳhabar nahīñ hai ki hamrāh kaun hai
pūchhā kahāñ gayā hai batāyā kahāñ gayā
vo bhī badal gayā hai mujhe chhoḌne ke baad
mujh se bhī apne aap meñ aayā kahāñ gayā
tujh ko gañvā diyā hai magar apne aap ko
barbād kar diyā hai gañvāyā kahāñ gayā
Top Urdushayar.com