Nasir Amrohvi

sahra se na jangal ki kabhi KHak se uTThe

Nasir Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1985
sahrā se na jañgal kī kabhī ḳhaak se uTThe
ab ke vo bagūle ḳhas-o-ḳhāshāk se uThe
barsegī vo ātish ki jhulas jā.eñge dariyā
ik abr agar dīda-e-nam-nāk se uTThe
go tū ne har ik shaḳhs ko miTTī se banāyā
par sañg ke paikar bhī tire chaak se uTThe
hai jin kī bulandī pe ḳhajil auj-e-surayyā
kuchh aise sitāre bhī mirī ḳhaak se uTThe
ik habs-e-balā-ḳhez garāñ thā so bil-āḳhir
ham sāda-sifat mahfil-e-chālāk se uTThe
tujh jism ko chhūne kā ye e.azāz hai jānāñ
ḳhushbū tirī utrī huī poshāk se uTThe
thī jin se falak-bos pahāḌoñ ko girānī
vo sadme bhī 'nāsir' dil-e-ġhamnāk se uTThe
Top Urdushayar.com