raḳht-e-safar hai is meñ qarīna bhī chāhiye
āñkheñ bhī chāhiye dil-e-bīnā bhī chāhiye
un kī galī meñ ek mahīna guzār kar
kahnā ki aur ek mahīna bhī chāhiye
mahkegā un ke dar pe ki zaḳhm-e-dahan hai ye
vāpas jab aao to ise siinā bhī chāhiye
ronā to chāhiye hai ki dahlīz un kī hai
rone kā rone vaalo qarīna bhī chāhiye
daulat milī hai dil kī to rakkho sambhāl kar
is ke liye dimāġh bhī siina bhī chāhiye
dil kah rahā thā aur ghaḌī thī qubūl kī
makka bhī chāhiye hai madīna bhī chāhiye