fazā-e-tīra-shabī kā hisāb karnā hai
charāġh-e-shām tujhe māhtāb karnā hai
mirī sarisht meñ dāḳhil vafā kī pābandī
tirā shi.ār musalsal itaab karnā hai
hamāre shānoñ pe hai bojh zindagī kā magar
hamīñ ko fikr-e-azāb-o-savāb karnā hai
zamīñ pe zulm kī khetī bhī suukh jā.egī
bas ek din use hukm-e-azāb karnā hai
lahū kā qatra-e-āḳhir bhī de ke ai 'nāzir'
tamām sehn-e-chaman ko gulāb karnā hai