Nazir Siddiqi

kar liya mahfuz KHud ko raegan hote hue

Nazir Siddiqi

1936
kar liyā mahfūz ḳhud ko rā.egāñ hote hue
maiñ ne jab dekhā kisī ko bad-gumāñ hote hue
maslahat-koshī mirī fitrat meñ shāmil hī na thī
dhuup meñ jhulsā kiyā maiñ sā.ebāñ hote hue
rafta rafta raunaq-e-bāzār baḌhtī hī ga.ī
vaqt ke chehre pe zaḳhmoñ ke nishāñ hote hue
gar yūñhī jaarī rahā us ke sitam kā silsila
TuuT jā.ūñgā maiñ ik din saḳht-jāñ hote hue
ḳhushk hoñToñ ke sahāre mujh ko pahchānā gayā
bazm-e-sāqī meñ hujūm-e-tishnagāñ hote hue
us ke jī meñ jo bhī aayā vo mujhe kahtā rahā
aur maiñ ḳhāmosh thā muñh meñ zabāñ hote hue
dekh kar ḳhud apnī sūrat saḳht hairānī huī
jab maiñ guzrā ā.īnoñ ke darmiyāñ hote hue
mahv-e-hairat ho ke 'nāzir' dekhtā hī rah gayā
lamha lamha apnī sāñsoñ kā ziyāñ hote hue
Top Urdushayar.com