Nazir Siddiqi

ghar se ab bahar nikalne mein bhi ghabraate hain hum

Nazir Siddiqi

1936
ghar se ab bāhar nikalne meñ bhī ghabrāte haiñ ham
sañg-bārī ho kahīñ bhī zad meñ aa jaate haiñ ham
aa gale lag jā hamāre tīrgī-e-shām-e-ġham
raushnī ke naam par dhoke bahut khāte haiñ ham
un kā kahnā hai ki bas tark-e-ta.alluq ho chukā
ham ye kahte haiñ ki ab tanhā rahe jaate haiñ ham
yuuñ to duniyā ne bhī rakkhā hai nishāne par hameñ
vahshat-e-dil se bhī kuchh āb-o-havā paate haiñ ham
us ke ruḳh par Dālte haiñ ik uchaTtī sī nazar
aur phir fikr-e-suḳhan meñ ġharq ho jaate haiñ ham
hañs ke kar lete haiñ vo apne sitam kā e'tirāf
aur un kī is adā par qatl ho jaate haiñ ham
dekhte haiñ muskurā kar apne bachchoñ kī taraf
jab thakan kā bojh oḌhe apne ghar aate haiñ ham
is qadar hālāt ne 'nāzir' badal Daalā hameñ
dostoñ ke darmiyāñ ab kam nazar aate haiñ ham
Top Urdushayar.com