Nazir Siddiqi

sawad-e-sham-e-gham mein yun to der tak jala charagh

Nazir Siddiqi

1936
savād-e-shām-e-ġham meñ yuuñ to der tak jalā charāġh
na jaane kyuuñ thakā thakā udaas udaas thā charāġh
phir is ke ba.ad umr-bhar ye justujū rahī mujhe
ki ek shab guzār ke kahāñ chalā gayā charāġh
vo kab se thā vo kaun thā koī to mere saath thā
mire safar meñ yak-ba-yak kahāñ se aa gayā charāġh
bujhā sake to ab tujhe mirī salā-e-ām hai
fasīl-e-jāñ pe ai havā jalā ke rakh diyā charāġh
maiñ ḳhūgar-e-sitam bhī huuñ adā-shanās-e-ġham bhī huuñ
majāl kyā havā-e-ġham bujhā sake mirā charāġh
vajūd-e-ġham bachā liyā ye baat koī kam nahīñ
havā-e-ġham ke sāmne laraz ke rah gayā charāġh
Top Urdushayar.com