Nazir Siddiqi

fasil-e-jaan pe rakkhi thi na baam-o-dar pe rakkhi thi

Nazir Siddiqi

1936
fasīl-e-jāñ pe rakkhī thī na bām-o-dar pe rakkhī thī
zamāne bhar kī be-ḳhvābī mire bistar pe rakkhī thī
ubhar aa.ī thī peshānī pe naqsh-e-mo'tabar ban kar
purānī fikr kī ḳhushbū na.e manzar pe rakkhī thī
nazar uTThī to bas hairat se ham dekhā kiye us ko
hamārī gum-shuda dastār us ke sar pe rakkhī thī
usī ko zaḳhm dene par tulā thā sar-phirā sūraj
mirī taḳh.īl kī buniyād jis shahpar pe rakkhī thī
zamīñ par raushnī aatī rahī jaatī rahī lekin
hamārī ḳhāna-vīrānī bas ik mehvar pe rakkhī thī
pasīna merī mehnat kā mire māthe pe raushan thā
chamak la.al-o-javāhar kī mirī Thokar pe rakkhī thī
mire sar par musalsal aag barsātā rahā sūraj
na jaane kaisī ThanDak merī chashm-e-tar pe rakkhī thī
mirī gardan jo zīnat ban chukī thī qatl-gāhoñ kī
kabhī neze pe rakkhī thī kabhī ḳhanjar pe rakkhī thī
badal kar pairahan qadmoñ ke nīche aa ga.ī 'nāzir'
vahī miTTī jo ik din dast-e-kūza-gar pe rakkhī thī
Top Urdushayar.com