Nazir Siddiqi

manzil ke dur dur tak aasar tak bhi nahin

Nazir Siddiqi

1936
manzil ke duur duur tak āsār tak bhī nahīñ
maiñ raah meñ Thaharne ko tayyār bhī nahīñ
hālāt kah rahe haiñ ki is daur-e-nau ke log
so.e hue nahīñ haiñ to bedār bhī nahīñ
mujh ko agar paḌhā to bhulā pā.egā na vo
maiñ har nazar meñ sub.h kā aḳhbār bhī nahīñ
jo dūsroñ ke ghar meñ ujālā na kar sake
maiñ aisī raushnī kā talabgār bhī nahīñ
'nāzir' matā-e-dil ye kahāñ le ke aa ga.e
pahlī sī ab vo garmi-e-bāzār bhī nahīñ
Top Urdushayar.com