maqtal se merā kāsa-e-sar kaun le gayā
us tak ye dil-ḳharāsh ḳhabar kaun le gayā
chehre pe gard-e-rāh bhī baaqī nahīñ rahī
mujh se mirā subūt-e-safar kaun le gayā
raas aa chalī thī dil kī fazā-e-junūn-e-shauq
bahkā ke mujh ko dasht se ghar kaun le gayā
be-laus dostī ke zamāne kahāñ ga.e
sarmāya-e-ḳhulūs-e-bashar kaun le gayā
ye dekhne kī koī zarūrat nahīñ rahī
kis kā hunar thā dād-e-hunar kaun le gayā
ghar se nikal paḌe haiñ to ab kyā ye dekhnā
raste se sāya-dār shajar kaun le gayā
dariyā vahī hai us kī ravānī vahī magar
rū-posh thā jo tah meñ guhar kaun le gayā
a.amāl apne dekh ke ye tajziya bhī kar
'nāzir' tirī duā se asar kaun le gayā