Nazir Siddiqi

shaKH pe chiDiya gati hai

Nazir Siddiqi

1936
shāḳh pe chiḌiyā gaatī hai
jo kuchh hai lamhātī hai
palkeñ bhīgī rahtī haiñ
dil kī fazā jazbātī hai
baat karūñ yā sher kahūñ
ek sī ḳhushbū aatī hai
shahr meñ huuñ aur tanhā huuñ
rañg mirā qasbātī hai
fikr hai mujh ko apnī hī
ġham bhī merā zaatī hai
hukm na do bedārī kā
niiñd hī kis ko aatī hai
lams-e-anā par itnā naaz
ḳhushbū hai uḌ jaatī hai
sham.a kī sūrat qismat bhī
jalte hī bujh jaatī hai
qaid-e-qafas meñ ab 'nāzir'
ruuh bahut ghabrātī hai
Top Urdushayar.com