Firaq Gorakhpuri

chheD ai dil ye kisi shoKH ke ruKHsaron se

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
chheḌ ai dil ye kisī shoḳh ke ruḳhsāroñ se
khelnā aah dahakte hue añgāroñ se
ham shab-e-hijr meñ jab sotī hai saarī duniyā
zikr karte haiñ tirā chhiTke hue tāroñ se
ashk bhar laa.e kisī ne jo tirā naam liyā
aur kyā hijr meñ hotā tire bīmāroñ se
chheḌ naġhma koī go dil kī shikasta haiñ rageñ
ham nikāleñge sadā TuuTe hue tāroñ se
ham ko terī hai zarūrat na ise bhuul ai dost
tere iqrāroñ se matlab hai na inkāroñ se
ham haiñ vo bekas-o-be-yār ki baiThe baiThe
apnā dukh-dard kahā karte haiñ dīvāroñ se
ahl-e-duniyā se ye kahte haiñ mire nāla-e-dil
ham sadā deñge ġham-e-hijr ke mīnāroñ se
ishq hamdardī-e-ālam kā ravādār nahīñ
ho ga.ī bhuul 'firāq' aap ke ġham-ḳhvāroñ se
Top Urdushayar.com