dīdār meñ ik turfa dīdār nazar aayā
har baar chhupā koī har baar nazar aayā
chhāloñ ko bayābāñ bhī gulzār nazar aayā
jab chheḌ par āmāda har ḳhaar nazar aayā
sub.h-e-shab-e-hijrāñ kī vo chāk-garebānī
ik ālam-e-nairañgī har taar nazar aayā
ho sabr ki betābī ummīd ki māyūsī
nairañg-e-mohabbat bhī be-kār nazar aayā
jab chashm-e-siyah terī thī chhā.ī huī dil par
is mulk kā har ḳhitta tātār nazar aayā
tū ne bhī to dekhī thī vo jaatī huī duniyā
kyā āḳhrī lamhoñ meñ bīmār nazar aayā
ġhash khā ke gire muusā allāh-rī māyūsī
halkā sā vo parda bhī dīvār nazar aayā
zarra ho ki qatra ho ḳhum-ḳhāna-e-hastī meñ
maḳhmūr nazar aayā sarshār nazar aayā
kyā kuchh na huā ġham se kyā kuchh na kiyā ġham ne
aur yuuñ to huā jo kuchh be-kār nazar aayā
ai ishq qasam tujh ko ma.amūra-e-ālam kī
koī ġham-e-furqat meñ ġham-ḳhvār nazar aayā
shab kaT ga.ī furqat kī dekhā na 'firāq' āḳhir
tūl-e-ġham-e-hijrāñ bhī be-kār nazar aayā