Arif Imam

fasil-e-zat se bahar bhi dekhna hai mujhe

Arif Imam

1956
fasīl-e-zāt se bāhar bhī dekhnā hai mujhe
shikast-e-ḳhvāb kā manzar bhī dekhnā hai mujhe
abhī to maiñ ne faqat bārishoñ ko jhelā hai
ab is ke ba.ad samundar bhī dekhnā hai mujhe
banā rahā huuñ abhī ghar ko ā.ina-ḳhāna
phir apne haath meñ patthar bhī dekhnā hai mujhe
sipāh-e-kār-e-jahāñ se nimaT chukā huuñ magar
tumhārī yaad kā lashkar bhī dekhnā hai mujhe
abhī to ġham ko suḳhan karnā sahal hai 'ārif'
maqām-e-ijz-e-suḳhnavar bhī dekhnā hai mujhe
Top Urdushayar.com