Firaq Gorakhpuri

wo chup-chap aansu bahane ki raaten

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
vo chup-chāp aañsū bahāne kī rāteñ
vo ik shaḳhs ke yaad aane kī rāteñ
shab-e-mah kī vo ThanDī āñcheñ vo shabnam
tire husn ke rasmasāne kī rāteñ
javānī kī doshīzgī kā tabassum
gul-e-zār ke vo khilāne kī rāteñ
phuvāreñ sī naġhmoñ kī paḌtī hoñ jaise
kuchh us lab ke sunñe-sunāne kī rāteñ
mujhe yaad hai terī har sub.h-e-ruḳhsat
mujhe yaad haiñ tere aane kī rāteñ
pur-asrār sī merī arz-e-tamannā
vo kuchh zer-e-lab muskurāne kī rāteñ
sar-e-shām se ratjagā ke vo sāmāñ
vo pichhle pahar niiñd aane kī rāteñ
sar-e-shām se tā-sahar qurb-e-jānāñ
na jaane vo thiiñ kis zamāne kī rāteñ
sar-e-mai-kada tishnagī kī vo qasmeñ
vo saaqī se bāteñ banāne kī rāteñ
ham-āġhoshiyāñ shāhid-e-mehrbāñ kī
zamāne ke ġham bhuul jaane kī rāteñ
'firāq' apnī qismat meñ shāyad nahīñ the
Thikāne ke din yā Thikāne kī rāteñ
Top Urdushayar.com