ġham tirā jalva-gah-e-kaun-o-makāñ hai ki jo thā
ya.anī insān vahī sho.ala-ba-jāñ hai ki jo thā
phir vahī rañg-e-takallum nigah-e-nāz meñ hai
vahī andāz vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā
kab hai inkār tire lutf-o-karam se lekin
tū vahī dushman-e-dil dushman-e-jāñ hai ki jo thā
ishq afsurda nahīñ aaj bhī afsurda bahut
vahī kam kam asr-e-soz-e-nihāñ hai ki jo thā
qurb hī kam hai na duurī hī ziyāda lekin
aaj vo rabt kā ehsās kahāñ hai ki jo thā
nazar aa jaate haiñ tum ko to bahut nāzuk baal
dil mirā kyā vahī ai shīsha-girāñ hai ki jo thā
jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhī
phir vahī marhala-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā
husn ko khīñch to letā hai abhī tak lekin
vo asar jazb-e-mohabbat meñ kahāñ hai ki jo thā
aaj bhī said-gah-e-ishq meñ husan-e-saffāk
liye abrū kī lachaktī sī kamāñ hai ki jo thā
phir tirī chashm-e-suḳhan-sanj ne chheḌī koī baat
vahī jaadū hai vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā
phir sar-e-mai-kada-e-ishq hai ik bārish-e-nūr
chhalke jāmoñ se charāġhāñ kā samāñ hai ki jo thā
phir vahī ḳhair-nigāhī hai tire jalvoñ se
vahī aalam tirā ai barq-e-damāñ hai ki jo thā
aaj bhī aag dabī hai dil-e-insāñ meñ 'firāq'
aaj bhī sīnoñ se uThtā vo dhuāñ hai ki jo thā