Firaq Gorakhpuri

rasm-o-rah-e-dahr kya josh-e-mohabbat bhi to ho

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
rasm-o-rāh-e-dahr kyā josh-e-mohabbat bhī to ho
TuuT jaatī hai har ik zanjīr vahshat bhī to ho
zindagī kyā maut kyā do karvaTeñ haiñ ishq kī
sone vaale chauñk uTTheñge qayāmat bhī to ho
''harche bādā-bād'' ke na.aroñ se duniyā kaañp uThī
ishq ke itnā koī bargashta qismat bhī to ho
kār-zār-e-dahr meñ har kaif har mastī bajā
kuchh sharīk-e-be-ḳhudī rindāna-e-jur.at bhī to ho
kam nahīñ ahl-e-havas kī bhī ḳhayāl-ārā.iyāñ
ye fanā kī had se bhī baḌh jaa.eñ himmat bhī to ho
kuchh ishārāt-e-nihāñ hoñ to nigāh-e-nāz ke
bhāñp leñge ham ye mahfil rashk-e-ḳhalvat bhī to ho
ab to kuchh ahl-e-razā bhī ho chale māyūs se
har jafā-e-nā-ravā kī kuchh nihāyat bhī to ho
har nafas se aa.e bū-e-ātish-e-sayyāl-e-ishq
aag vo dil meñ lahū meñ vo harārat bhī to ho
ye tire jalve ye chashm-e-shauq kī hairāniyāñ
barq-e-husn-e-yār nazzāre kī fursat bhī to ho
gardish-e-daurāñ meñ ik din aa rahegā hosh bhī
ḳhatm ai chashm-e-siyah ye daur-e-ġhaflat bhī to ho
har dil-afsurda se chiñgāriyāñ uḌ jā.eñgī
kuchh tirī ma.asūm āñkhoñ meñ sharārat bhī to ho
ab vo itnā bhī nahīñ begāna-e-vaj.h-e-malāl
pursish-e-ġham us ko aatī hai zarūrat bhī to ho
ek sī haiñ ab to husn-o-ishq kī majbūriyāñ
ham hoñ yā tum ho vo ahd-e-bā-farāġhat bhī to ho
dekh kar rañg-e-mizāj-e-yār kyā kahiye 'firāq'
is meñ kuchh gunjā.ish-e-shukr-o-shikāyat bhī to ho
Top Urdushayar.com