aaj bhī qāfila-e-ishq ravāñ hai ki jo thā
vahī miil aur vahī sañg-e-nishāñ hai ki jo thā
phir tirā ġham vahī rusvā-e-jahāñ hai ki jo thā
phir fasāna ba-hadīs-e-digrāñ hai ki jo thā
manzileñ gard ke mānind uḌī jaatī haiñ
vahī andāz-e-jahān-e-guzarāñ hai ki jo thā
zulmat o nuur meñ kuchh bhī na mohabbat ko milā
aaj tak ek dhundalke kā samāñ hai ki jo thā
yuuñ to is daur meñ be-kaif sī hai bazm-e-hayāt
ek hañgāma sar-e-ritl-e-girāñ hai ki jo thā
laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsān-o-karam
tujh pe ai dost vahī vahm-o-gumāñ hai ki jo thā
aaj phir ishq do-ālam se judā hotā hai
āstīnoñ meñ liye kaun-o-makāñ hai ki jo thā
ishq afsurda nahīñ aaj bhī afsurda bahut
vahī kam kam asr-e-soz-e-nihāñ hai ki jo thā
nazar aa jaate haiñ tum ko to bahut nāzuk baal
dil mirā kyā vahī ai shīsha-girāñ hai ki jo thā
jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhī
phir vahī marhala-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā
aaj bhī said-gah-e-ishq meñ husan-e-saffāk
liye abrū kī lachaktī sī kamāñ hai ki jo thā
phir tirī chashm-e-suḳhan-sanj ne chheḌī koī baat
vahī jaadū hai vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā
raat bhar husn par aa.e bhī ga.e sau sau rañg
shaam se ishq abhī tak nigarāñ hai ki jo thā
jo bhī kar jaur-o-sitam jo bhī kar ehsān-o-karam
tujh pe ai dost vahī vahm-o-gumāñ hai ki jo thā
aañkh jhapkī ki idhar ḳhatm huā roz-e-visāl
phir bhī is din pe qayāmat kā gumāñ hai ki jo thā
qurb hī kam hai na duurī hī ziyāda lekin
aaj vo rabt kā ehsās kahāñ hai ki jo thā
tīra-baḳhtī nahīñ jaatī dil-e-sozāñ kī 'firāq'
sham.a ke sar pe vahī aaj dhuāñ hai ki jo thā