Firaq Gorakhpuri

ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
ye nik.hatoñ kī narm-ravī ye havā ye raat
yaad aa rahe haiñ ishq ko TuuTe ta.alluqāt
māyūsiyoñ kī god meñ dam toḌtā hai ishq
ab bhī koī banā le to bigḌī nahīñ hai baat
kuchh aur bhī to ho in ishārāt ke sivā
ye sab to ai nigāh-e-karam baat baat baat
ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ
aise bhī haiñ ki kaT na sakī jin se ek raat
ham ahl-e-intizār ke aahaT pe kaan the
ThanDī havā thī ġham thā tirā Dhal chalī thī raat
yuuñ to bachī bachī sī uThī vo nigāh-e-nāz
duniyā-e-dil meñ ho hī ga.ī koī vārdāt
jin kā surāġh pā na sakī ġham kī ruuh bhī

nādāñ hue haiñ ishq meñ aise bhī sānehāt

har sa.ī o har amal meñ mohabbat kā haath hai
ta.amīr-e-zindagī ke samajh kuchh muharrikāt
us jā tirī nigāh mujhe le ga.ī jahāñ
letī ho jaise saañs ye be-jān kā.enāt
kyā niiñd aa.e us ko jise jāgnā na aa.e
jo din ko din kare vo kare raat ko bhī raat
dariyā ke madd-o-jazr bhī paanī ke khel haiñ
hastī hī ke karishme haiñ kyā maut kyā hayāt
ahl-e-razā meñ shān-e-baġhāvat bhī ho zarā
itnī bhī zindagī na ho pāband-e-rasmiyāt
ham ahl-e-ġham ne rañg-e-zamāna badal diyā
koshish to kī sabhī ne magar ban paḌe kī baat
paidā kare zamīn na.ī āsmāñ nayā
itnā to le koī asar-e-daur-kā.enāt
shā.ir huuñ gahrī niiñd meñ haiñ jo haqīqateñ
chauñkā rahe haiñ un ko bhī mere tavahhumāt
mujh ko to ġham ne fursat-e-ġham bhī na dī 'firāq'
de fursat-e-hayāt na jaise ġham-e-hayāt
Top Urdushayar.com