Firaq Gorakhpuri

dilon ka soz tere ru-e-be-naqab ki aanch

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
diloñ kā soz tire rū-e-be-naqāb kī aañch
tamām garmī-e-mahfil tire shabāb kī aañch
savāb-e-ḳhuld-e-barīñ kyā azāb-e-dozaḳh kyā
tire ḳhitāb kī ThanDak tire itaab kī aañch
harīm-e-ishq ke pardoñ se lau nikaltī hai
ye soz-o-sāz hai kis naġhma-e-rabāb kī aañch
lahakte sabze meñ abr-e-bahār kī mastī
dahakte phuul meñ chhalkī huī sharāb kī aañch
ye kaif-e-husn ye barq-e-nigāh kyā kahnā
lagā de aag na us dāman-e-sahāb kī aañch
chaḌhā ke sāġhar-e-mai jagmagā uThe chehre
simaT ke aa ga.ī sīnoñ meñ āftāb kī aañch
panāh maañg rahī hai harī-bharī duniyā
na pūchh āh-dil-e-ḳhā-numāñ-ḳharāb kī aañch
ye agle vaqtoñ ke haiñ ḳhush haiñ bāġh-e-jannat meñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ kyā hai is savāb kī aañch
ye aa gayā hai yahāñ kaun kāfir-e-ma.asūm
ki ThanDī paḌ ga.ī dozaḳh ke bhī azaab kī aañch
jise samajhte haiñ sab mauj-e-kausar-o-tasnīm
vo aa.ina bhī hai tapte hue sarāb kī aañch
sahar kī tāza-damī chaḌhtī dhuup kī garmī
tirī nigāh kī ThanDak tire shabāb kī aañch
rukī rukī sī lab-e-shauq par hai arz-e-visāl
ki phūñk de na tire zauq-e-intiḳhāb kī aañch
yahī hai raunaq-e-garmī yahī hai raunaq-e-bazm
nigāh-e-nāz tire zauq-e-intiḳhāb kī aañch
ye raat aag lagā de kahīñ na duniyā meñ
ye chāñdnī ye havā.eñ ye māhtāb kī aañch
shuā.eñ phuuT ke jaise fazā meñ gum ho jaa.eñ
chhalakte jaam meñ ye chashmak-e-habāb kī aañch
savār-e-ablaq-e-ayyām mausam-e-gul hai
chaman ke sho.ale haiñ yā halqa-e-rikāb kī aañch
ye mehr-o-māh bhī uḌte hue sharāre haiñ
ki arsh tak hai mohabbat ke pech-o-tāb kī aañch
sameT rakkhe haiñ rūhul-qudus ne par apne
pahuñch rahī hai kahāñ tak is iztirāb kī aañch
'firāq' vaqt ke ruḳh se ulaT rahī hai naqāb
zamīñ se tā-ba-falak hai is inqalāb kī aañch
Top Urdushayar.com