Firaq Gorakhpuri

ranj-o-rahat wasl-o-furqat hosh-o-wahshat kya nahin

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
rañj-o-rāhat vasl-o-furqat hosh-o-vahshat kyā nahīñ
kaun kahtā hai ki rahne kī jagah duniyā nahīñ
ahl-e-ġham tum ko mubārak ye fanā āmādgī
lekin īsār-e-mohabbat jaan de denā nahīñ
husn sar-tā-pā tamannā ishq sar-tā-sar ġhurūr
is kā andāza niyāz-o-nāz se hotā nahīñ
ek hālat par zamāne meñ na guzrī ishq kī
dard kī duniyā bhī ab vo dard kī duniyā nahīñ
jis ke sho.aloñ se thī kal tak garmī-e-bazm-e-hayāt
aaj is ḳhākistar-e-dil se dhuāñ uThtā nahīñ
maiñ adam andar adam maiñ huuñ jahāñ andar jahāñ
ek hī duniyā ho merī ai 'firāq' aisā nahīñ
Top Urdushayar.com