sar meñ saudā bhī nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ
lekin is tark-e-mohabbat kā bharosā bhī nahīñ
dil kī gintī na yagānoñ meñ na begānoñ meñ
lekin us jalva-gah-e-nāz se uThtā bhī nahīñ
mehrbānī ko mohabbat nahīñ kahte ai dost
aah ab mujh se tirī ranjish-e-bejā bhī nahīñ
ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ
aaj ġhaflat bhī un āñkhoñ meñ hai pahle se sivā
aaj hī ḳhātir-e-bīmār shakebā bhī nahīñ
baat ye hai ki sukūn-e-dil-e-vahshī kā maqām
kunj-e-zindāñ bhī nahīñ vus.at-e-sahrā bhī nahīñ
are sayyād hamīñ gul haiñ hamīñ bulbul haiñ
tū ne kuchh aah sunā bhī nahīñ dekhā bhī nahīñ
aah ye majma-e-ahbāb ye bazm-e-ḳhāmosh
aaj mahfil meñ 'firāq'-e-suḳhan-ārā bhī nahīñ
ye bhī sach hai ki mohabbat pe nahīñ maiñ majbūr
ye bhī sach hai ki tirā husn kuchh aisā bhī nahīñ
yuuñ to hañgāme uThāte nahīñ dīvāna-e-ishq
magar ai dost kuchh aisoñ kā Thikānā bhī nahīñ
fitrat-e-husn to ma.alūm hai tujh ko hamdam
chāra hī kyā hai ba-juz sabr so hotā bhī nahīñ
muñh se ham apne burā to nahīñ kahte ki 'firāq'
hai tirā dost magar aadmī achchhā bhī nahīñ