Firaq Gorakhpuri

junun-e-kargar hai aur main hun

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
junūn-e-kārgar hai aur maiñ huuñ
hayāt-e-be-ḳhabar hai aur maiñ huuñ
miTā kar dil nigāh-e-avvalīñ se
taqāzā-e-digar hai aur maiñ huuñ
kahāñ maiñ aa gayā ai zor-e-parvāz
vabāl-e-bāl-o-par hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-avvalīñ se ho ke barbād
taqāzā-e-digar hai aur maiñ huuñ
mubārakbād ayyām-e-asīrī
ġham-e-dīvār-o-dar hai aur maiñ huuñ
tirī jam.iyyateñ haiñ aur tū hai
hayāt-e-muntashar hai aur maiñ huuñ
koī ho sust-paimāñ bhī to yuuñ ho
ye shām-e-be-sahar hai aur maiñ huuñ
nigāh-e-be-mahābā tere sadqe
ka.ī TukḌe jigar hai aur maiñ huuñ
Thikānā hai kuchh is uzr-e-sitam kā
tirī nīchī nazar hai aur maiñ huuñ
'firāq' ik ek hasrat miT rahī hai
ye mātam raat bhar hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com