subū meñ aks-e-ruḳh-e-māhtāb dekhte haiñ
sharāb piite nahīñ ham sharāb dekhte haiñ
kisī bhī taur uThe par tirī nigāh uThe
jalā ke ghar tujhe ḳhāna-ḳharāb dekhte haiñ
use na dekh sakeñge ai kaash inheñ dekheñ
vo kaun haiñ jo ise be-naqāb dekhte haiñ
hamāre chehre pe likkhā gayā fasāna-e-vaqt
ham ā.īna nahīñ takte kitāb dekhte haiñ
vo hai hī lā.iq-e-sajda so ham ne sajda kiyā
vo aur haiñ jo azaab o savāb dekhte haiñ
havas na jaan tujhe chhū ke dekhnā ye hai
tujhe hī dekh rahe haiñ ki ḳhvāb dekhte haiñ