ye surma.ī fazāoñ kī kunmunāhaTeñ
miltī haiñ mujh ko pichhle pahar terī āhaTeñ
is kā.enāt-e-ġham kī fasurda fazāoñ meñ
bikhrā ga.e haiñ aa ke vo kuchh muskurāhaTeñ
ai jism-e-nāznīn-e-nigār-e-nazar-navāz
sub.h-e-shab-e-visāl terī malgujāhaTeñ
paḌtī hai āsmān-e-mohabbat pe chhūT sī
balbe jabīn-e-nāz tirī jagmagāhaTeñ
chaltī hai jab nasīm-e-ḳhayāl-e-ḳhirām-e-nāz
suntā huuñ dāmanoñ kī tire sarsarāhaTeñ
chashm-e-siyah tabassum-e-pinhāñ liye hue
pau phūTne se qabl ufuq kī adāhateñ
jumbish meñ jaise shāḳh ho gul-hā-e-naġhma kī
ik paikar-e-jamīl kī ye lahlahāhaTeñ
jhoñkoñ kī nazr hai chaman-e-intizār-e-dost
yād-e-ummīd-o-bīm kī ye sansanāhaTeñ
ho sāmnā agar to ḳhajil ho nigāh-e-barq
dekhī haiñ uzv uzv meñ vo achpalāhaTeñ
kis des ko sidhār ga.iiñ ai jamāl-e-yār
rañgīñ laboñ pe khel ke kuchh muskurāhaTeñ
ruḳhsār-e-tar se taaza ho bāġh-e-adan kī yaad
aur us kī pahlī sub.h kī vo rasmasāhaTeñ
sāz-e-jamāl kī ye navā-hā-e-sarmadī
joban to vo farishte suneñ gungunāhaTeñ
āzurdagī-e-husn bhī kis darja shoḳh hai
ashkoñ meñ tairtī huī kuchh muskurāhaTeñ
hone lagā huuñ ḳhud se qarīñ ai shab-e-alam
maiñ pā rahā huuñ hijr meñ kuchh apnī āhaTeñ
merī ġhazal kī jaan samajhnā unheñ 'firāq'
sham-e-ḳhayāl-e-yār kī ye thartharāhaTeñ