Firaq Gorakhpuri

kuchh na kuchh ishq ki tasir ka iqrar to hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
kuchh na kuchh ishq kī tāsīr kā iqrār to hai
us kā ilzām-e-taġhāful pe kuchh inkār to hai
har fareb-e-ġham-e-duniyā se ḳhabar-dār to hai
terā dīvāna kisī kaam meñ hushyār to hai
dekh lete haiñ sabhī kuchh tire mushtāq-e-jamāl
ḳhair dīdār na ho hasrat-e-dīdār to hai
ma.arke sar hoñ usī barq-e-nazar se ai husn
ye chamaktī huī chaltī hui talvār to hai
sar paTakne ko paTaktā hai magar ruk ruk kar
tere vahshī ko ḳhayāl-e-dar-o-dīvār to hai
ishq kā shikva-e-bejā bhī na be-kār gayā
na sahī jaur magar jaur kā iqrār to hai
tujh se himmat to paḌī ishq ko kuchh kahne kī
ḳhair shikva na sahī shukr kā iz.hār to hai
is meñ bhī rābta-e-ḳhās kī miltī hai jhalak
ḳhair iqrār-e-mohabbat na ho inkār to hai
kyuuñ jhapak jaatī hai rah rah ke tirī barq-e-nigāh
ye jhijak kis liye ik kushta-e-dīdār to hai
ka.ī unvān haiñ mamnūn-e-karam karne ke
ishq meñ kuchh na sahī zindagī be-kār to hai
sahar-o-shām sar-e-anjuman-e-nāz na ho
jalva-e-husn to hai ishq-e-siyahkār to hai
chauñk uThte haiñ 'firāq' aate hī us shoḳh kā naam
kuchh sarāsīmgī-e-ishq kā iqrār to hai
Top Urdushayar.com