sunā to hai ki kabhī be-niyāz-e-ġham thī hayāt
dilā.ī yaad nigāhoñ ne terī kab kī baat
zamāñ makāñ hai faqat madd-o-jazr-e-josh-e-hayāt
bas ek mauj kī haiñ jhalkiyāñ qarār-o-sabāt
hayāt ban ga.ī thī jin meñ ek ḳhvāb-e-hayāt
are davām-o-abad the vahī to kuchh lamhāt
hayāt-e-dozaḳhiyāñ bhī tamām mub.ham hai
azaab bhī na mayassar huā kahāñ kī najāt
tirī nigāh kī sub.heñ nigāh kī shāmeñ
harīm-e-rāz ye duniyā jahāñ na dan haiñ na raat
bas ik sharāb-e-kuhan ke karishme haiñ saaqī
na.e zamāne na.ī mastiyāñ na.ī barsāt
kisī pe zulm burā hai magar ye kahtā huuñ
ki aadmī pe ho ehsān aadmī haihāt
sukūt-e-rāz vahī hai jo dāstāñ ban jaa.e
nigāh-e-nāz vahī jo nikāle baat meñ baat
ġham-o-nishāt mohabbat kī chhoḌ de lālach
har ik se uThte nahīñ ye azaab ye barkāt
tamām aks hai duniyā tamām aks adam
kahāñ tak ā.ina-dar-ā.ina hayāt-o-mamāt
fazā meñ mahkī huī chāñdnī ki naġhma-e-rāz
ki utreñ sīna-e-shā.ir meñ jis tarah naġhmāt
bas ek rāz-e-tasalsul bas ik tasalsul-e-rāz
kahāñ pahuñch ke huī ḳhatm bahs-e-zāt-o-sifāt
chamakte dard khile chehre muskurāte ashk
sajā.ī jā.egī ab tarz-e-nau se bazm-e-hayāt
jise sab ahl-e-jahāñ zindagī samajhte haiñ
kabhī kabhī to mile aisī zindagī se najāt
agar ḳhudā bhī mile to na le ki o nādāñ
hai tū hī ka.aba-e-dīñ tū hī qibla-e-hājāt
tamām ḳhastagī-o-māñdgī hai ālam-e-hijr
thake thake se ye taare thakī thakī sī ye raat
tirī ġhazal to na.ī ruuh phūñk detī hai
'firāq' der se chhūTī huī hai nabz-e-hayāt