Firaq Gorakhpuri

har nala tere dard se ab aur hi kuchh hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
har naala tire dard se ab aur hī kuchh hai
har naġhma sar-e-bazm-e-tarab aur hī kuchh hai
arbāb-e-vafā jaan bhī dene ko haiñ tayār
hastī kā magar husn-e-talab aur hī kuchh hai
ye kaam na le nāla-o-faryād-o-fuġhāñ se
aflāk ulaT dene kā Dhab aur hī kuchh hai
ik silsila-e-rāz hai jiinā ki ho marnā
jab aur hī kuchh thā magar ab aur hī kuchh hai
kuchh mehr-e-qayāmat hai na kuchh nār-e-jahannam
hoshyār ki vo qahr-o-ġhazab aur hī kuchh hai
maz.hab kī ḳharābī hai na aḳhlāq kī pastī
duniyā ke masā.ib kā sabab aur hī kuchh hai
behūda-sarī sajde meñ hai jaan khapānā
ā.īn-e-mohabbat meñ adab aur hī kuchh hai
kyā husn ke andāz-e-taġhāful kī shikāyat
paimān-e-vafā ishq kā jab aur hī kuchh hai
duniyā ko jagā de jo adam ko bhī sulā de
sunte haiñ ki vo roz vo shab aur hī kuchh hai
āñkhoñ ne 'firāq' aaj na pūchho jo dikhāyā
jo kuchh nazar aatā hai vo sab aur hī kuchh hai
Top Urdushayar.com