Firaq Gorakhpuri

hijr-o-visal-e-yar ka parda uTha diya

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
hijr-o-visāl-e-yār kā parda uThā diyā
ḳhud baḌh ke ishq ne mujhe merā patā diyā
gard-o-ġhubār-e-hastī-e-fānī uḌā diyā
ai kīmiyā-e-ishq mujhe kyā banā diyā
vo sāmne hai aur nazar se chhupā diyā
ai ishq-e-be-hijāb mujhe kyā dikhā diyā
vo shān-e-ḳhāmushī ki bahāreñ haiñ muntazir
vo rañg-e-guftugū ki gulistāñ banā diyā
dam le rahī thiiñ husn kī jab sehr-kāriyāñ
in vaqfa-hā-e-kufr ko īmāñ banā diyā
ma.alūm kuchh mujhī ko haiñ un kī ravāniyāñ
jin qatra-hā-e-ashk ko dariyā banā dayā
ik barq-e-be-qarār thī tamkīn-e-husn bhī
jis vaqt ishq ko ġham-e-sabr-āzmā diyā
saaqī mujhe bhī yaad haiñ vo tishna-kāmiyāñ
jin ko harīf-e-sāġhar-o-mīnā banā diyā
ma.alūm hai haqīqat-e-ġham-hā-e-rozgār
duniyā ko tere dard ne duniyā banā diyā
ai shoḳhi-e-nigāh-e-karam muddatoñ ke ba.ad
ḳhvāb-e-girān-e-ġham se mujhe kyuuñ jagā diyā
kuchh shorisheñ taġhāful-e-pinhāñ meñ thiiñ jinheñ
hañgāma-zār-e-hashr-e-tamannā banā diyā
baḌhtā hī jā rahā hai jamāl-e-nazar-fareb
husn-e-nazar ko husn-e-ḳhud-ārā banā diyā
phir dekhnā nigāh laḌī kis se ishq kī
gar husn ne hijāb-e-taġhāful uThā diyā
jab ḳhuun ho chukā dil-e-hastī-e-etibār
kuchh dard bach rahe jinheñ insāñ banā diyā
gum-karda-e-vafūr-e-ġham-e-intizār huuñ
tū kyā chhupā ki mujh ko mujhī se chhupā diyā
raat ab harīf-e-sub.h-e-qayāmat hī kyuuñ na ho
jo kuchh bhī ho us aañkh ko ab to jagā diyā
ab maiñ huuñ aur lutf-o-karam ke takallufāt
ye kyuuñ hijāb-e-ranjish-e-be-jā banā diyā
thī yuuñ to shām-e-hijr magar pichhlī raat ko
vo dard uThā 'firāq' ki maiñ muskurā diyā
Top Urdushayar.com