Firaq Gorakhpuri

daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
daur-e-āġhāz-e-jafā dil kā sahārā niklā
hausla kuchh na hamārā na tumhārā niklā
terā naam aate hī sakte kā thā aalam mujh par
jaane kis tarah ye mazkūr dobārā niklā
hosh jaatā hai jigar jaatā hai dal jaatā hai
parde hī parde meñ kyā terā ishārā niklā
hai tire kashf-o-karāmāt kī duniyā qaa.il
tujh se ai dil na magar kaam hamārā niklā
kitne saffāk sar-e-qatl-gah-e-ālam the
lākhoñ meñ bas vahī allāh kā pyārā niklā
ibrat-añgez hai kyā us kī javāñ-margī bhī
haa.e vo dil jo hamārā na tumhārā niklā
ishq kī lau se farishtoñ ke bhī par jalte haiñ
rashk-e-ḳhurshīd-e-qayāmat ye sharārā niklā
sar-ba-sar be-sar-o-sāmāñ jise samjhe the vo dil
rashk-e-jamshed-o-kai-o-ḳhusrau-o-dārā niklā
aql kī lau se farishtoñ ke bhī par jalte haiñ
rashk-e-ḳhurshīd-e-qayāmat ye sharārā niklā
rone vaale hue chup hijr kī duniyā badlī
sham.a be-nūr huī sub.h kā taarā niklā
uñgliyāñ uTThīñ 'firāq'-e-vatan-āvāra par
aaj jis samt se vo dard kā maarā niklā
Top Urdushayar.com