zindagī dard kī kahānī hai
chashm-e-anjum meñ bhī to paanī hai
be-niyāzāna sun liyā ġham-e-dil
mehrbānī hai mehrbānī hai
vo bhalā merī baat kyā maane
us ne apnī bhī baat maanī hai
shola-e-dil hai ye ki sho.ala-sāz
yā tirā shola-e-javānī hai
vo kabhī rañg vo kabhī ḳhushbū
gaah gul gaah rāt-rānī hai
ban ke ma.asūm sab ko taaḌ ga.ī
aañkh us kī baḌī siyānī hai
āp-bītī kaho ki jag-bītī
har kahānī mirī kahānī hai
donoñ aalam haiñ jis ke zer-e-nagīñ
dil usī ġham kī rājdhānī hai
ham to ḳhush haiñ tirī jafā par bhī
be-sabab terī sargirānī hai
sar-ba-sar ye farāz-e-mahr-o-qamar
terī uThtī huī javānī hai
aaj bhī sun rahe haiñ qissa-e-ishq
go kahānī bahut purānī hai
zabt kiije to dil hai añgārā
aur agar roiye to paanī hai
hai Thikānā ye dar hī us kā bhī
dil bhī terā hī āstānī hai
un se aise meñ jo na ho jaa.e
nau-javānī hai nau-javānī hai
dil mirā aur ye ġham-e-duniyā
kyā tire ġham kī pāsbānī hai
gardish-e-chashm-e-sāqī-e-daurāñ
daur-e-aflāk kī bhī paanī hai
ai lab-e-nāz kyā haiñ vo asrār
ḳhāmushī jin kī tarjumānī hai
mai-kadoñ ke bhī hosh uḌne lage
kyā tirī aañkh kī javānī hai
ḳhud-kushī par hai aaj āmāda
are duniyā baḌī divānī hai
koī iz.hār-e-nā-ḳhushī bhī nahīñ
bad-gumānī sī bad-gumānī hai
mujh se kahtā thā kal farishta-e-ishq
zindagī hijr kī kahānī hai
bahr-e-hastī bhī jis meñ kho jaa.e
buuñd meñ bhī vo be-karānī hai
mil ga.e ḳhaak meñ tire ushshāq
ye bhī ik amr-e-āsmānī hai
zindagī intizār hai terā
ham ne ik baat aaj jaanī hai
kyuuñ na ho ġham se hī qimāsh us kā
husn tasvīr-e-shādmānī hai
suunī duniyā meñ ab to maiñ huuñ aur
mātam-e-ishq-e-āñ-jahānī hai
kuchh na pūchho 'firāq' ahd-e-shabāb
raat hai niiñd hai kahānī hai