rukī rukī sī shab-e-marg ḳhatm par aa.ī
vo pau phaTī vo na.ī zindagī nazar aa.ī
ye moḌ vo hai ki parchhā.iyāñ bhī deñgī na saath
musāfiroñ se kaho us kī rahguzar aa.ī
fazā tabassum-e-sub.h-e-bahār thī lekin
pahuñch ke manzil-e-jānāñ pe aañkh bhar aa.ī
kahīñ zamān-o-makāñ meñ hai naam ko bhī sukūñ
magar ye baat mohabbat kī baat par aa.ī
kisī kī bazm-e-tarab meñ hayāt baTtī thī
umīd-vāroñ meñ kal maut bhī nazar aa.ī
kahāñ har ek se insāniyat kā baar uThā
ki ye balā bhī tire āshiqoñ ke sar aa.ī
diloñ meñ aaj tirī yaad muddatoñ ke ba.ad
ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aa.ī
nayā nahīñ hai mujhe marg-e-nā-gahāñ kā payām
hazār rañg se apnī mujhe ḳhabar aa.ī
fazā ko jaise koī raag chīrtā jaa.e
tirī nigāh diloñ meñ yūñhī utar aa.ī
zarā visāl ke ba.ad aa.ina to dekh ai dost
tire jamāl kī doshīzgī nikhar aa.ī
tirā hī aks sarishk-e-ġham-e-zamāna meñ thā
nigāh meñ tirī tasvīr sī utar aa.ī
ajab nahīñ ki chaman-dar-chaman bane har phuul
kalī kalī kī sabā jā ke god bhar aa.ī
shab-e-'firāq' uThe dil meñ aur bhī kuchh dard
kahūñ ye kaise tirī yaad rāt-bhar aa.ī