kamī na kī tire vahshī ne ḳhaak uḌāne meñ
junūñ kā naam uchhaltā rahā zamāne meñ
'firāq' dauḌ ga.ī ruuh sī zamāne meñ
kahāñ kā dard bharā thā mire fasāne meñ
junūñ se bhuul huī dil pe choT khāne meñ
'firāq' der abhī thī bahār aane meñ
vo koī rañg hai jo uḌ na jaa.e ai gul-e-tar
vo koī bū hai jo rusvā na ho zamāne meñ
vo āstīñ hai koī jo lahū na de nikle
vo koī hasan hai jhijhke jo rañg laane meñ
ye gul khile haiñ ki choTeñ jigar kī ubhrī haiñ
nihāñ bahār thī bulbul tire tarāne meñ
bayān-e-sham.a hai hāsil yahī hai jalne kā
fanā kī kaifiyateñ dekh jhilmilāne meñ
kasī kī hālat-e-dil sun ke uTh ga.iiñ āñkheñ
ki jaan paḌ ga.ī hasrat bhare fasāne meñ
usī kī sharh hai ye uThte dard kā aalam
jo dāstāñ thī nihāñ tere aañkh uThāne meñ
ġharaz ki kaaT diye zindagī ke din ai dost
vo terī yaad meñ hoñ yā tujhe bhulāne meñ
hamīñ haiñ gul hamīñ bulbul hamīñ havā-e-chaman
'firāq' ḳhvāb ye dekhā hai qaid-ḳhāne meñ