Firaq Gorakhpuri

dete hain jam-e-shahadat mujhe malum na tha

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
dete haiñ jām-e-shahādat mujhe ma.alūm na thā
hai ye ā.īn-e-mohabbat mujhe ma.alūm na thā
matlab-e-chashm-e-muravvat mujhe ma.alūm na thā
tujh ko mujh se thī shikāyat mujhe ma.alūm na thā
chashm-e-ḳhāmosh kī bābat mujhe ma.alūm na thā
ye bhī hai harf-o-hikāyat mujhe ma.alūm na thā
ishq bas meñ hai mashiyyat ke aqīda thā mirā
us ke bas meñ hai mashiyyat mujhe ma.alūm na thā
haft-ḳhvāñ jis ne kiye tai sar-e-rāh-e-taslīm
TuuT jaatī hai vo himmat mujhe ma.alūm na thā
aaj har qatra-e-mai ban gayā ik chiñgārī
thī ye saaqī kī sharārat mujhe ma.alūm na thā
nigah-e-mast ne talvār uThā lī sar-e-bazm
yuuñ badal jaatī hai niyyat mujhe ma.alūm na thā
ġham-e-hastī se jo bezār rahā maiñ ik umr
tujh se bhī thī use nisbat mujhe ma.alūm na thā
ishq bhī ahl-e-tarīqat meñ hai aisā thā ḳhayāl
ishq hai pīr-e-tarīqat mujhe ma.alūm na thā
pūchh mat sharh-e-karam-hā-e-azīzāñ hamdam
un meñ itnī thī sharāfat mujhe ma.alūm na thā
jab se dekhā hai tujhe mujh se hai merī an-ban
husn kā rañg-e-siyāsat mujhe ma.alūm na thā
shakl insān kī ho chaal bhī insān kī ho
yuuñ bhī aatī hai qayāmat mujhe ma.alūm na thā
sar-e-māmūra-e-ālam ye dil-e-ḳhāna-ḳharāb
miT gayā terī badaulat mujhe ma.alūm na thā
parda-e-arz-e-vafā meñ bhī rahā huuñ kartā
tujh se maiñ apnī hī ġhībat mujhe ma.alūm na thā
naqd-e-jāñ kyā hai zamāne meñ mohabbat hamdam
nahīñ miltī kisī qīmat mujhe ma.alūm na thā
ho gayā aaj rafīqoñ se gale mil ke judā
apnā ḳhud ishq-e-sadāqat mujhe ma.alūm na thā
dard dil kyā hai khulā aaj tire laḌne par
tujh se itnī thī mohabbat mujhe ma.alūm na thā
dam nikal jaa.e magar dil na lagā.e koī
ishq kī ye thī vasiyyat mujhe ma.alūm na thā
husn vāloñ ko bahut sahal samajh rakkhā thā
tujh pe aa.egī tabī.at mujhe ma.alūm na thā
kitnī ḳhallāq hai ye nīstī-e-ishq 'firāq'
us se hastī hai ibārat mujhe ma.alūm na thā
Top Urdushayar.com