Firaq Gorakhpuri

tez ehsas-e-KHudi darkar hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
tez ehsās-e-ḳhudī darkār hai
zindagī ko zindagī darkār hai
jo chaḌhā jaa.e ḳhumistān-e-jahāñ
haañ vahī lab-tishnagī darkār hai
devtāoñ kā ḳhudā se hogā kaam
aadmī ko aadmī darkār hai
sau gulistāñ jis udāsī par nisār
mujh ko vo afsurdagī darkār hai
shā.erī hai sar-basar tahzīb-e-qalb
us ko ġham shā.istagī darkār hai
sho.ala meñ laatā hai jo soz-o-gudāz
vo ḳhulūs-e-bātnī darkār hai
ḳhūbī-e-lafz-o-bayāñ se kuchh sivā
shā.erī ko sāhirī darkār hai
qādir-e-mutlaq ko bhī insān kī
sunte haiñ be-chārgī darkār hai
aur hoñge tālib-e-mad.h-e-jahāñ
mujh ko bas terī ḳhushī darkār hai
aql meñ yuuñ to nahīñ koī kamī
ik zarā dīvāngī darkār hai
hosh vāloñ ko bhī merī raa.e meñ
ek guuna be-ḳhudī darkār hai
ḳhatrā-e-bisyār-dānī kī qasam
ilm meñ bhī kuchh kamī darkār hai
dosto kaafī nahīñ chashm-e-ḳhirad
ishq ko bhī raushnī darkār hai
merī ġhazloñ meñ haqā.eq haiñ faqat
aap ko to shā.erī darkār hai
tere paas aayā huuñ kahne ek baat
mujh ko terī dostī darkār hai
maiñ jafāoñ kā na kartā yuuñ gila
aaj terī nā-ḳhushī darkār hai
us kī zulf ārāsta-pairāsta
ik zarā sī barhamī darkār hai
zinda-dil thā tāza-dam thā hijr meñ
aaj mujh ko be-dilī darkār hai
halqa halqa gesū-e-shab rañg-e-yār
mujh ko terī abtarī darkār hai
aql ne kal mere kānoñ meñ kahā
mujh ko terī zindagī darkār hai
tez-rau tahzīb-e-ālam ko 'firāq'
ik zarā āhistagī darkār hai
Top Urdushayar.com